Samander ke kinare par
Na main hun aur na bas tum ho
Kai tanhai baithi hain
Kuchh ek shohrat bhi haazir hai
Kai ruswaai baithi hain
Alag andaaz hai sab ka
Alag hai soch bhi sab ki
Tumhein lahrein bulati hain
Main lahron ko bulata hun
Koi maujon ko ginta hai
Koi bas shor sunta hai
Koi yeh dekhta hai ke samunder hai wasee kitna
Koi yeh sochta hai kitni uski zaat simti hai
Koi lahron ki bechaini
Koi apne masaayel se
Bujha baitha hai saahil pe
Samander mein utar jaane ko hain betaab kitne aur
Sajaaye aankh mein apni na jaane khwaab kitne aur
Kai naakaam baithe hain rakhe yun haath ko dil pe
Ke jo kashti abhi doobi hai thhi voh aarzoo unki
Isi wajah se kahta hun
Samander ke kinarey par
Na main hun aur na bas tum ho
Kai tanhai baithi hain
Kuchh ek shohrat bhi haazir hai
Kai ruswaai baithi hain
Alag andaaz hai sab ka
Alag hai soch bhi sabki
Hamare jo bhi masley hain
Voh in lahron ke jaise hain
Chataan-e-dil se ladte hain
Hamare hi kinaaron par!
Jisey tum maanti ho voh samander hai kahan humdum
Samander mere andar hai
Samander tere andar hai
Samander sab ke andar hai!!!!