Saturday, July 19, 2008

VO BEETEY DIN

Vo beetey din…Jab cricket se anjaan they hum…

Jab Chhuppan chhupaai aur aais paais
Jab kanche, gilli-danda se bachpan khela karta thha…
Ghutne haath ki choton par bus mitti lagaya karte they…
Jab shower se anjaane hum nahar mein kooda karte they…
Baarish ki rimjhim mein hum bheeg ke gaaya karte they…
Vo beetey din…

Vo beetey din…Jab cheque aur draft ka pata na thha…

Jab taambe ke kuchh sikkey rakh kar jeb hilaya karte they…
Chaar aane ki toffee lekar jashn manaya karte they…
Toffee ke badle mein toffee…Yehi to sauda karte they…
Papa ki khaatir apni hum gullak toda karte they…
Vo beetey din…

Vo beetey din…Jab ipod thha na video game…

Jab dhoop bharey aangan mein hum sheeshey chamkaaya karte they…
Suraj kaanch se takraa kar kaaghaz ko jalaaya karte they…
Jab gudri odh ke raaton mein daadi ko daraya karte they…
Vo beetey din…

Vo beetey din…Jab mall thha na hi gym koi

Jab naani ke ghar jaakar hum patang udaaya kartey they…
Kachche aam aur laal imli…Leechi, bel, jaamun sab…
Jhagde waale baagh se hi roz churaaya karte they…
Vo beetey din…

Vo beetey din…Jab dish tv na cable thha…

Jab pandrah gharon mein ek tv…Ek akela doordarshan…
Nukkad, circus, rajni aur Dada dadi ki kahani…
Har Sunday ki ek movie…news break mein garm samosey
Vikram Baitaal…Har budhwaar, chitrahar…
Milkar dekha karte they…
Vo beetey din…

Vo beetey din…Jab comp tha na koi internet…

Jab angrezi aur math ki books ko bamboo papers ke cover se…
Chachu sajaaya karte they…
Natraj ki pencil dusiyon baar hum yunhi chheela karte they…
Aur Papa ke Reynold pe hum nazar jamaaye rahte thhey…
Pencil se ek pen ka safar bhi bada hi lamba lagta thha…
Sulekha ink ka neela dhabba jeb se atka rahta thha
Vo beetey din…

Vo beetey din…Jab phone na thha mobile koi…

Ek aane ka postcard dukh sukh baanta karta thha…
Jab do aane ki antardesi Papa, dada, chaachu ke
Jhagde mitaya karti thhi…
Aur chaar aane ka ek lifaafa chhotey bade sab rishton ke…
Raaz sameta karta thha…
Vo beetey din…

Vo beetey din…Jab bisleri nahi hoti thhi…

Aur kisi station pe Papa, paani lene utarte they…
Train ki seeti bajti thhi…aur hum saham se jaate…
Chalti train ki khidki se…
Roti aankh se hum apne papa dhoonda karte they…
Vo beetey din…

Vo beetey din…Ek puraane album mein…Halke peele rangon mein
Ab bhi humne rakhey hain…Vo beetey din…

Aaj magar sab badal gaya hai…
TV, Comp, aur Ipod…internet mobile hain ab…
Mall hai kitne bath tub hai shower hai…
Train ka sheesha bund hai ab…Aur a/c ki thandi ghutan…
Bisleri ki bottle hai…Cheque bhi hai aur cash bhi hai…

Par…
Kuchh to hai jo aaj nahi hai…

Sochta hun ek din phir se train mein baithun
Aur kisi station pe…Papa utrein paani lene…
Seeti baje aur train chale phir…Roti aankh se papa dhoondun…
Phir dabbe mein papa aakar mujhko laga lein gale se apne
Aur main roun…aur main roun…
Ji bhar ke ek baar main roun…!!!!