Aadhe tum aur aadhaa main…
Kaanch ke jaise do tukde
Jud jaane kii khwaahish mein
Takmeel ki apni chaahat mein
Paas aaye hum…
Ek huye!
Chalte chalte raste mein
Ek din apne haathon se
Anjaane mein chhoot gaye
Aur hamara aadha bhi
Toot ke har soo bikhar gayaa…!
Phir tumne sametaa
Maine batoraa
Apne aadhe tukdon ko
Aur ab yeh nayi ek mushkil hai…
Apne apne tukdon ko
Kaise jodein, kaise paayein
Apnaa adhuraa aadhaa bhi!!!
Monday, December 15, 2008
Wednesday, December 3, 2008
Kroadh Ke Sanjhe Gullak Mein...
Aao apne zakhmon ko
Dil se uthti teeson ko
Ek jagah hum jama karein
Krodh ke saanjhe gullak mein
Zakhm akela bhar jaata hai
Tees akeli mit jaati hai
Sab kuchh bhool ke hum phir se
Bemaqsad se ji lete hain...
Aao apne zakhmon ko
Dil se uthti teeson ko
Ek jagah hum jama karein
Krodh ke saanjhe gullak mein
Kal jab poora bhar jaayega
Krodh ka apna saanjha gullak
Milkar usko todenge
Zakhmon ka ek baan banaakar
Dushman pe phir chhodenge
Aao apne zakhmon ko
Dil se uthti teeson ko
Ek jagah hum jama karein
Krodh ke saanjhe gullak mein!!!
Dil se uthti teeson ko
Ek jagah hum jama karein
Krodh ke saanjhe gullak mein
Zakhm akela bhar jaata hai
Tees akeli mit jaati hai
Sab kuchh bhool ke hum phir se
Bemaqsad se ji lete hain...
Aao apne zakhmon ko
Dil se uthti teeson ko
Ek jagah hum jama karein
Krodh ke saanjhe gullak mein
Kal jab poora bhar jaayega
Krodh ka apna saanjha gullak
Milkar usko todenge
Zakhmon ka ek baan banaakar
Dushman pe phir chhodenge
Aao apne zakhmon ko
Dil se uthti teeson ko
Ek jagah hum jama karein
Krodh ke saanjhe gullak mein!!!
Subscribe to:
Posts (Atom)