Thursday, August 14, 2014


Aansuon se bhari in aankhon mein
Khwaab rakhe nahi ke doob gaye!!

Aankhon ki chaukhat pe kabse neend hai baithi afsurda
Roz naye khwaabon ki shart haar gayi ho jaise aaj......!
Aankh mein kuchh chubh sa raha hai
Khwaab kahin phir toot gaya hai......!

Monday, August 4, 2014

Chaand Raat Ko....

Chaand raat ko
Eid ke naye kapde aur naye jooton ka dabba
Apne bister pe baghal mein sajaa ke sona

Eid ke din
Naye kapde pahanne ki khushi mein 
Sardiyon ki thandi subah ko bhi kapkapa ke naha lena
Itr mein doobey ruui ke phaahe kaan mein atka kar 
Eidgaah jaana
Phir namaaz ke baad onghte huey "KHUTBA" sunna
Phir apnon se....anjaano se galey milna

Ghar pahunch kar EIDI lena
Abba se, Amma se, Dada se, Dadi se
Kurtey ki jeb mein bajtey, khanakte sikke 
Nukkad ki mithaai ki dukaan
Thanda sherbet peene ki poori aazaadi
Apne aur pados ke gharon ki sewayyan...

Vo ek din....mann kartaa thha thahar jaaye
Naye kapde badan se kabhi na utrein
Eidi milti rahe...sikke jeb mein bajte rahein...

Bachpan ki yehi baat nirali hoti hai
Tab hum nahi jaante ki kahin duur koi missile gira hai
Goliyon ki bauchchar hui hai
Maasoomon ke jism girey hain

Bin Eidi jaane kitne bachchey dafn huey hain!!

Monday, July 21, 2014

Palestine Ki Eid

Ramzan shuru hua aur bachchon ne Baba se kaha
"Baba Eid ke kapde?"
Baba ne muskura ke poochha:
"Kaho kya chaahiye?"
Bachchon ne apni apni pasand bataayi
Aur Baba ne haami bhar li
Aur phir ek dhamaka hua
Phir kai dhamake

Chhat giri...deewarein bhi
Aah ke shor mein jismon ke parkhachchey udey
Aur Baba sholon se liptey dhuaan mein apne bachchon ke tukde dhoondta raha

Vohi Baba ujde baazar mein bachchon ke Eid ke kapde khareed raha hai
Par vo kapde bachchon ki pasand ke kapde nahi hain...
KAFAN hain!
Baba kitna jhoota nikla!!!!

Friday, July 18, 2014

Sochta hun puraane dinon ki tarah ek khat likhun...Abba ko!

Sochta hun puraane dinon ki tarah ek khat likhun...Abba ko
("Abba jaan, qadam bosi,
Main Allah ke karam se achcha hun
Ummeed hai aap bhi Allah ke fazal se khairiyat se honge")

Phone pe baatein hoti hain
Par tukdon mein

("Amma theek hain?"
"Haan...bus vohi jodon ka dard... "
"Oh! Doctor..."
"Kuchh nahi...chal raha hai...waise hi"
"Aap?"
"Theek hun"
"Achcha theek hai...meeting mein pahunch gaya hun..kal karta hun...Khuda Hafiz!")

Phone ki baaton mein jo lafz gum ho gaye
Unhein jama karke...
Naye sirey se un saare lafzon ko jod ke
(Jin mein hamare aur abba ke jazbe kho gaye se hain)
Sochta hun Puraaney dinon ki tarah ek khat likhun...Abba ko

Ke phir se un khoye huey jazbon ko zindagi miley
Ke phir se duaaon aur ehteraam mein ek rishta qaayam ho
Ke phir se hum ek doosre ko mahsoos kar paayein!!!!

Wednesday, July 16, 2014

Bus Ek Baar Aisa Ho

Bus ek baar aisa ho
Khuda mil jaaye hum sabko
Phir uske tukde karke hum
Barabar baant lein usko
Na zyaada ho khuda tera
Na kuchh kam ho khuda mera
Khuda pe bhi zara iss baar
Hamaara bojh kuchh kum ho

Yaa phir aisa karein kuch hum
Khuda mil jaaye gar humko
Usi se poochh lein milke
Vo kis kis ka khuda hai
Koi toh chhootey hum mein se
Bharam ki qaid se aakhir

Bus ek baar aisa ho
Khuda mil jaaye hum sabko!!!