Monday, July 21, 2014

Palestine Ki Eid

Ramzan shuru hua aur bachchon ne Baba se kaha
"Baba Eid ke kapde?"
Baba ne muskura ke poochha:
"Kaho kya chaahiye?"
Bachchon ne apni apni pasand bataayi
Aur Baba ne haami bhar li
Aur phir ek dhamaka hua
Phir kai dhamake

Chhat giri...deewarein bhi
Aah ke shor mein jismon ke parkhachchey udey
Aur Baba sholon se liptey dhuaan mein apne bachchon ke tukde dhoondta raha

Vohi Baba ujde baazar mein bachchon ke Eid ke kapde khareed raha hai
Par vo kapde bachchon ki pasand ke kapde nahi hain...
KAFAN hain!
Baba kitna jhoota nikla!!!!

Friday, July 18, 2014

Sochta hun puraane dinon ki tarah ek khat likhun...Abba ko!

Sochta hun puraane dinon ki tarah ek khat likhun...Abba ko
("Abba jaan, qadam bosi,
Main Allah ke karam se achcha hun
Ummeed hai aap bhi Allah ke fazal se khairiyat se honge")

Phone pe baatein hoti hain
Par tukdon mein

("Amma theek hain?"
"Haan...bus vohi jodon ka dard... "
"Oh! Doctor..."
"Kuchh nahi...chal raha hai...waise hi"
"Aap?"
"Theek hun"
"Achcha theek hai...meeting mein pahunch gaya hun..kal karta hun...Khuda Hafiz!")

Phone ki baaton mein jo lafz gum ho gaye
Unhein jama karke...
Naye sirey se un saare lafzon ko jod ke
(Jin mein hamare aur abba ke jazbe kho gaye se hain)
Sochta hun Puraaney dinon ki tarah ek khat likhun...Abba ko

Ke phir se un khoye huey jazbon ko zindagi miley
Ke phir se duaaon aur ehteraam mein ek rishta qaayam ho
Ke phir se hum ek doosre ko mahsoos kar paayein!!!!

Wednesday, July 16, 2014

Bus Ek Baar Aisa Ho

Bus ek baar aisa ho
Khuda mil jaaye hum sabko
Phir uske tukde karke hum
Barabar baant lein usko
Na zyaada ho khuda tera
Na kuchh kam ho khuda mera
Khuda pe bhi zara iss baar
Hamaara bojh kuchh kum ho

Yaa phir aisa karein kuch hum
Khuda mil jaaye gar humko
Usi se poochh lein milke
Vo kis kis ka khuda hai
Koi toh chhootey hum mein se
Bharam ki qaid se aakhir

Bus ek baar aisa ho
Khuda mil jaaye hum sabko!!!