Shabnam ke ek katre mein
Sooraj aake baithaa hai…
Aao ginein hum lamhon ko…
Ab yeh sooraj pighlegaa…
Thursday, April 24, 2008
Hum Kal Jo Milenge Barson Baad...
Hum kal jo milenge barson baad
Raah mein yunhi chalte hue
Paas se jub hum guzrenge
Pahchaan ka ik bebaak sa jhonka
Hum ko achanak choo lega
Ik jhatke se hum paltenge
Aur dekhenge ik dooje ko hum hairat se
Phir aagey badh kar bolenge - "TUM!"
Phir dhadkan itni tez chalegi jism hamare larzenge
Hont hamare kaanpenge hum lafzon ko bhi tarsenge
Kuchh der tahar kar, khud pe kuchh kuchh qaaboo paakar
Main shayad yeh poochhunga: “Kaisi ho sab theek to hai?”
“Achchi hoon aur tum kaise ho?” tum itna kah paaogi.
Phir ruk kar thoda, zara jhijhak kar,
Main tumse yeh bolunga
“Itne barson baad miley hain,
Baithein chal kar baat karein kuchh? paas mein ik café hai”
Dekhogi, kuchh sochogi, phir saath mere tum hologi.
Us khaali se café mein, do coffee ka order dekar
Hum dono yeh sochenge, baat kahan se shuru karein
Karne ko yun baatein kitni
Din kitne aur raatein kitni
Aur na jaane kitne mausam
Yaadon ka boseeda album
Ik pal mein khul jaayega!
Hanste gaate kitne chahre,
Rang birangey kitne manzar
Park, bagheechey, hotel, dhaabey,
Parbat, vaadi, jharne, sagar
Jahan jahan se guzre thhey sab hum ko yaad aayenge
Phir bhi hum yeh sochenge, baat kahan se shuru karein!
Phir idhar udhar hum daalenge bemaqsad bekaar nazar
Café ki deewaron par, chhat par aur dareechon par
Kursiyon aur mezon par
Jab tak coffee aayegi!
Phir coffee ki chuski lekar tum nazron se poochhogi:
“Dhoop mein jhulse kab kab bolo,
Kab kab bheegey baarish mein”.
Main piyaali rakh kar table par man hi man mein bolunga:
“Yaad nahin par itna sach hai
Dhoop mein jab jab jhulsa, socha
Achcha hua tum saath nahin thhi
Jab jab bheega baarish mein
Afsos raha tum paas nahin thhi!!”
Phir baat shuru karne ko hum bas itna kah paayenge:
“Yahan ki coffee achchi hai!”
Phir dekhenge ek dooje ke
Gaal ke gadhdhey, baal ki chaandi,
Aankh taley ki gahri siyahi,
Peeley chahre neeli ragein hum!
Phir voh manzar yaad aayega
Jab dil par rakh kar soz ka patthar
Ek din hum tum bichhdey thhey
Dil se tab ek hook uthegi, aankhein phir se dariya hongi
Dard chhupa kar ek dooje se, idhar udhar ki baatein karke
Naye patey lede kar apne, hum rukhsat ho jaayenge!!
Par…ghar jaa kar yeh sochenge…
Yeh patey alag kyon apne hain?
Jab dard-o-aansu, ranj-o-alam,
Jab duniya ka har zulm-o-sitam,
Mushtarka hain?
Jab dil mein armaa, hasrat aur
Aankh mein yaksaan sapney hain
Phir patey alag kyon apne hain?
Yeh patey alag kyon apne hain?
Friday, April 11, 2008
EK KHAMOSH GUZAARISH
Bol ke moti chun chun kar
chup ke lambey dhaage mein
Main to pirotaa jaaungaa
Tum sunnaa chaaho to sun lo
Yaa todke chup kaa dhaagaa tum
Bikher do saare bol mere…
chup ke lambey dhaage mein
Main to pirotaa jaaungaa
Tum sunnaa chaaho to sun lo
Yaa todke chup kaa dhaagaa tum
Bikher do saare bol mere…
Monday, April 7, 2008
Chalo ab hum bichhadte hain…
Chalo ab hum bichhadte hain
Sulagti dhoop mein ghum ki
Bhari aankhon ke saawan mein
Kaho tum alvida mujhko
Khudha hafiz kahun main bhi
Chalo ab hum bichhadte hain…
Safar yeh mukhtasar hoga
Yeh humko bhi khabar thhi
Yeh tum bhi jaanti thhi ke
Koi din ka safar hai yeh
Koi ek mod par ek din
Bichhad jaayenge hum yunhi
Tumhari raah ki zid par
Mere raste khulenge
Yehi voh mod hai jis pe
Bichhadna hai hamein hans ke
Alag raste pe chalna hai
Alag manzil ki jaanib ab
Chalo ab hum bichhadte hain…
Magar jaane se pahle
Aakhri darkhaast hai tumse
Safar lamba hai mujhko dedo
Apni yaad ki poonji
Khanakte bol ke sikkey…
Ke kal jab khaamushi dar pe
Kabhi aake sada dede
To dhar doon uske kaanse mein
Khanakte bol ke sikkey
Tumharey bol ke sikkey
Koi bhi atpata jumla Ke jisme ho
Quran-e-zeest ke aayat ka jaadu
Tum apni pyaari ungli se
Hamari peeth par likhdo
Ke kal jab lafz dab Jaayen
Kitaabon ki imaarat mein
Yehi jumla padhunga main
Tumhara atpata jumla!!
Jaga do lams ke jugnu
Mere saare badan par tum
Voh jugnu jo karein roshan
Tumhari yaad ko har dum
Ke kal jab bhi andhere se guzar hoga
Yehi jugnu to chamkenge
Tumhaare lams ke jugnu!
Bithaa do pyaar ki titli
Alag qismon ki rangon ki
Meri har shaakh pe chun ke
Ke kal jab zindagi berang hogi to
Yehi titli main dekhunga
Tumhare pyaar ki titli!
Baha do aankh ka dariya
Mere kaandhe pe sir rakh ke
Voh dariya jismein hon apne
Bitaaye sab ke sab saawan
Ke kal jab tashnagi meri yeh jism-o-jaan jalayegi
Yehi dariya piyunga main
Tumhari aankh ka dariya!!
Tum apne khushnuma naakhun
Chubho do mere seene par
Jhapat kar is qadar gahre
Ke rahti zindagi tak ek bhali si tees rah jaaye
Chalo ab hum bichhadte hain
Magar jaane se pahle
Aakhri darkhaast hai tumse
Safar lamba hai mujhko dedo
Apni yaad ki poonji
Khanakte bol ke sikkey
Koi bhi atpata jumla
Tum apne lams ke jugnu
Aur apne pyaar ki titli
Aur apni aankh ka dariya
Vohi ek tees laafaani!!!!
Duaa...
Teergi ke hisaar mein hoon main
Roshni tak mujhey pahuchna hai
Roshni woh jo meri manzil hai
Faasla do qadam ka hai ussey
Jis andhere mein main muqayyad hoon
Jaanib-e-roshni jo badhta hoon
Yeh andhera bhi saath chalta hai
Faasla do qadam ka donon ke
Darmiyaan barqaar rahta hai
Khel jaane yeh kab se jaari hai
Zindagi mujh pe kitni bhaari hai
Dil se bas yeh duaa nikalti hai
"Faasla kam agar nahin hota
Teergi ke hisaar ko mere
Aiy khuda is qadar wasee karde
Roshni mujhse door ho jaaye!!!!"
Roshni tak mujhey pahuchna hai
Roshni woh jo meri manzil hai
Faasla do qadam ka hai ussey
Jis andhere mein main muqayyad hoon
Jaanib-e-roshni jo badhta hoon
Yeh andhera bhi saath chalta hai
Faasla do qadam ka donon ke
Darmiyaan barqaar rahta hai
Khel jaane yeh kab se jaari hai
Zindagi mujh pe kitni bhaari hai
Dil se bas yeh duaa nikalti hai
"Faasla kam agar nahin hota
Teergi ke hisaar ko mere
Aiy khuda is qadar wasee karde
Roshni mujhse door ho jaaye!!!!"
Subscribe to:
Posts (Atom)