Saturday, March 3, 2012

CHALTI TRAIN KI KHIDKI SE...

Manzar peechhey bhaag rahe hain chalti train ki khidki se,
Kachchey pakkey ghar hain kuchh,
Chhotey bade hain ped kai,
Haryaali aur bannjar khet,
Gode mein bachcha sar pe ghaas ki gathri uthaay aurat ek,
Khet ke aadon pe baithey mobile pe baatein karte log,
Peechhey bhaagte chotey ujdey station kii
Tooti bench aur sookhey null...!
Soch raha hun...
Saath mein chalti chamkeeli si patri pe jab koi train dhadh dhadaake guzregi,
Usmein baitha koi musaafir mere liye bhi sochega,
Manzar peechhey bhaag rahe hain chalti train ki khidki se...!!!

No comments: