Aadhe tum aur aadhaa main…
Kaanch ke jaise do tukde
Jud jaane kii khwaahish mein
Takmeel ki apni chaahat mein
Paas aaye hum…
Ek huye!
Chalte chalte raste mein
Ek din apne haathon se
Anjaane mein chhoot gaye
Aur hamara aadha bhi
Toot ke har soo bikhar gayaa…!
Phir tumne sametaa
Maine batoraa
Apne aadhe tukdon ko
Aur ab yeh nayi ek mushkil hai…
Apne apne tukdon ko
Kaise jodein, kaise paayein
Apnaa adhuraa aadhaa bhi!!!
Monday, December 15, 2008
Wednesday, December 3, 2008
Kroadh Ke Sanjhe Gullak Mein...
Aao apne zakhmon ko
Dil se uthti teeson ko
Ek jagah hum jama karein
Krodh ke saanjhe gullak mein
Zakhm akela bhar jaata hai
Tees akeli mit jaati hai
Sab kuchh bhool ke hum phir se
Bemaqsad se ji lete hain...
Aao apne zakhmon ko
Dil se uthti teeson ko
Ek jagah hum jama karein
Krodh ke saanjhe gullak mein
Kal jab poora bhar jaayega
Krodh ka apna saanjha gullak
Milkar usko todenge
Zakhmon ka ek baan banaakar
Dushman pe phir chhodenge
Aao apne zakhmon ko
Dil se uthti teeson ko
Ek jagah hum jama karein
Krodh ke saanjhe gullak mein!!!
Dil se uthti teeson ko
Ek jagah hum jama karein
Krodh ke saanjhe gullak mein
Zakhm akela bhar jaata hai
Tees akeli mit jaati hai
Sab kuchh bhool ke hum phir se
Bemaqsad se ji lete hain...
Aao apne zakhmon ko
Dil se uthti teeson ko
Ek jagah hum jama karein
Krodh ke saanjhe gullak mein
Kal jab poora bhar jaayega
Krodh ka apna saanjha gullak
Milkar usko todenge
Zakhmon ka ek baan banaakar
Dushman pe phir chhodenge
Aao apne zakhmon ko
Dil se uthti teeson ko
Ek jagah hum jama karein
Krodh ke saanjhe gullak mein!!!
Saturday, November 29, 2008
MAAMOOL
Din kinare shaam khadi hai…
…………………………….
Shaaney par ek jaal thakan ka
Haath mein machhli maayusi ki
Maahi lekar aayega
Shaam ki kaali sooni aankhein phir dariya bun jaayengi
Khaali aankh se maahi bhi sooney ghar ko taakega
…………………………………
Raat ki tooti thaali mein phir
Maayusi paros ke shaam
Maahi ke peedhey ke aagey chupke se sarkaa degi
Khaamoshi ke ghont ke saath maahi usko khaayega
……..tooti khaat pe sapno ki phir chupke se so jaayega
Shaam bhi andherey ke motey bistar mein dhuns jaayegi
Kal phir subah hogi aur____
Maahi jaal ummeed ka lekar
Din ke samundar jaayega
……………
Shaaney pe ek jaal thakan ka
Haath mein machhli maayusi ki
Maahi lekar aayega…
Laut ke jab vo aayega!!!!!!!!!!!!!

Friday, November 28, 2008
Hamd - In Praise of God
Tu bada azeem hai Raheem hai kareem hai…
Ke tu hi arsh-o-farsh ka…Aab o gil o aatish ka
Hawaaon ka khalaaon ka…Khaaliq o Maalik hai…
Nadi pahaad bahr-o-bar…Jo bhi hain zer o zabar
Sab pe tera raaj hai
Tu bada azeem hai
Raheem hai kareem hai…
Tere ‘kun’ se hum hue…Tere ‘kun’ se sab hua
Tu kisi ka ram hai
Kahin kisi ka baap hai
Kahin kisi ka hai khuda
Magar mere khuda bata…
Kahan chhupa hua hai tu…?
Suna toh hai maine yehi…Tu har jagah maujood hai
Zarre zarre mein tera…Bus tera wajood hai
Talash teri hain humein…Bata de ab khuda humein
Kahan hai tu…? Kahan hai tu…?
Tijoriyon ki ooperi taaq pe baitha hai tu…?
Anaaj ke gudaamon mein kahin tu chhup ke bund hai..>?
Mazdoor ki hartaal mein tu kahan se aayega
Officon mein baithna tujhko ab pasand hai…?
Tu bada…????
Tijoriyon ka nigehbaan
Luteron ka hai paasbaan
Vo jo karte hain zana
Teri hawwa ka zana
Padhte hain hamd-o=sana
Aur tu hai unpe maherbaan
Tu hai ballroom mein
Hotlon mein ab hai tu
Tu share bazaar mein
Partiyon mein ab hai tu…
Tu bada azeem hai
Raheem hai kareem hai
Kursiyon ke khel mein fasaad tu karata hai
Buldozron pe baith ke jhonpde girata hai
Electionon ke bhaashanon mein tu bada mash hoor hai
Tu hai ballot box mein
Parliament mein tu hi tu…
Tu hai atom bomb mein
Jung mein bhi tu hi tu…
Tu kahan nahi khuda tu har jagah maujood hai
Ghareeb ki hatheli mein tu nahi toh kya hua?
Tu hai cheque book mein account mein bhi tu hi tu…
Radio ho tv ho akhbaar hon resaaley hon
Sab mein tera naam hai…sab mein teri hi khabar…!!
Tu kahan nahi khuda tu har jagah maujood hai
Sainkdon amwaat ki ghisi piti khabar ke saath
Aaj bhi chhapa hai tu
Hamara hi khuda tu…!!!???
Tu bada azeem hai
Raheem hai kareem hai!!!

Thursday, October 30, 2008
Sunday, August 3, 2008
YEHI SACH HAI TOH...
Jabeen pe, rukh pe, honton pe
Tere, bosey sajaye hain
Sanam humne aqeedat ke
Muhabbat ki alamat ke!
Tujhey baahon mein bhar ke taiy kiye hain
Faasle humne
Kai janmon ke, sadiyon ke
Rahe shab bhar
Hamare jism mahwe guftugu humdum
Rahi risti
Masaamon se Hamare, aarzoo har dum
Ik ek lamha
Guzaara humne pahli baar ji ji kar
Bujhaayee pyaas
Ik duje ki bheegi saans pi pi kar
Yehi sach hai to khilne de
Ke jo bhi phool khilte hain
Nikalkar warna jismon se kahin bahar hi milte hain!!!

Saturday, July 19, 2008
VO BEETEY DIN
Vo beetey din…Jab cricket se anjaan they hum…
Jab Chhuppan chhupaai aur aais paais
Jab kanche, gilli-danda se bachpan khela karta thha…
Ghutne haath ki choton par bus mitti lagaya karte they…
Jab shower se anjaane hum nahar mein kooda karte they…
Baarish ki rimjhim mein hum bheeg ke gaaya karte they…
Vo beetey din…
Vo beetey din…Jab cheque aur draft ka pata na thha…
Jab taambe ke kuchh sikkey rakh kar jeb hilaya karte they…
Chaar aane ki toffee lekar jashn manaya karte they…
Toffee ke badle mein toffee…Yehi to sauda karte they…
Papa ki khaatir apni hum gullak toda karte they…
Vo beetey din…
Vo beetey din…Jab ipod thha na video game…
Jab dhoop bharey aangan mein hum sheeshey chamkaaya karte they…
Suraj kaanch se takraa kar kaaghaz ko jalaaya karte they…
Jab gudri odh ke raaton mein daadi ko daraya karte they…
Vo beetey din…
Vo beetey din…Jab mall thha na hi gym koi
Jab naani ke ghar jaakar hum patang udaaya kartey they…
Kachche aam aur laal imli…Leechi, bel, jaamun sab…
Jhagde waale baagh se hi roz churaaya karte they…
Vo beetey din…
Vo beetey din…Jab dish tv na cable thha…
Jab pandrah gharon mein ek tv…Ek akela doordarshan…
Nukkad, circus, rajni aur Dada dadi ki kahani…
Har Sunday ki ek movie…news break mein garm samosey
Vikram Baitaal…Har budhwaar, chitrahar…
Milkar dekha karte they…
Vo beetey din…
Vo beetey din…Jab comp tha na koi internet…
Jab angrezi aur math ki books ko bamboo papers ke cover se…
Chachu sajaaya karte they…
Natraj ki pencil dusiyon baar hum yunhi chheela karte they…
Aur Papa ke Reynold pe hum nazar jamaaye rahte thhey…
Pencil se ek pen ka safar bhi bada hi lamba lagta thha…
Sulekha ink ka neela dhabba jeb se atka rahta thha
Vo beetey din…
Vo beetey din…Jab phone na thha mobile koi…
Ek aane ka postcard dukh sukh baanta karta thha…
Jab do aane ki antardesi Papa, dada, chaachu ke
Jhagde mitaya karti thhi…
Aur chaar aane ka ek lifaafa chhotey bade sab rishton ke…
Raaz sameta karta thha…
Vo beetey din…
Vo beetey din…Jab bisleri nahi hoti thhi…
Aur kisi station pe Papa, paani lene utarte they…
Train ki seeti bajti thhi…aur hum saham se jaate…
Chalti train ki khidki se…
Roti aankh se hum apne papa dhoonda karte they…
Vo beetey din…
Vo beetey din…Ek puraane album mein…Halke peele rangon mein
Ab bhi humne rakhey hain…Vo beetey din…
Aaj magar sab badal gaya hai…
TV, Comp, aur Ipod…internet mobile hain ab…
Mall hai kitne bath tub hai shower hai…
Train ka sheesha bund hai ab…Aur a/c ki thandi ghutan…
Bisleri ki bottle hai…Cheque bhi hai aur cash bhi hai…
Par…
Kuchh to hai jo aaj nahi hai…
Sochta hun ek din phir se train mein baithun
Aur kisi station pe…Papa utrein paani lene…
Seeti baje aur train chale phir…Roti aankh se papa dhoondun…
Phir dabbe mein papa aakar mujhko laga lein gale se apne
Aur main roun…aur main roun…
Ji bhar ke ek baar main roun…!!!!

Sunday, June 15, 2008
Samunder Ke Kinare Par...
Samander ke kinare par
Na main hun aur na bas tum ho
Kai tanhai baithi hain
Kuchh ek shohrat bhi haazir hai
Kai ruswaai baithi hain
Alag andaaz hai sab ka
Alag hai soch bhi sab ki
Tumhein lahrein bulati hain
Main lahron ko bulata hun
Koi maujon ko ginta hai
Koi bas shor sunta hai
Koi yeh dekhta hai ke samunder hai wasee kitna
Koi yeh sochta hai kitni uski zaat simti hai
Koi lahron ki bechaini
Koi apne masaayel se
Bujha baitha hai saahil pe
Samander mein utar jaane ko hain betaab kitne aur
Sajaaye aankh mein apni na jaane khwaab kitne aur
Kai naakaam baithe hain rakhe yun haath ko dil pe
Ke jo kashti abhi doobi hai thhi voh aarzoo unki
Isi wajah se kahta hun
Samander ke kinarey par
Na main hun aur na bas tum ho
Kai tanhai baithi hain
Kuchh ek shohrat bhi haazir hai
Kai ruswaai baithi hain
Alag andaaz hai sab ka
Alag hai soch bhi sabki
Hamare jo bhi masley hain
Voh in lahron ke jaise hain
Chataan-e-dil se ladte hain
Hamare hi kinaaron par!
Jisey tum maanti ho voh samander hai kahan humdum
Samander mere andar hai
Samander tere andar hai
Samander sab ke andar hai!!!!

Sunday, May 18, 2008
NAYI DUNIYA
Titli, chooha, ball aur phool
Aur lakeeren aadii tirchhi…
Chhote Chhote dhabbe kuchh…
Apni nanhi beti ki
Nanhi si drawing book mein
Roz nayi duniyaa main dekhoon…
Aur lakeeren aadii tirchhi…
Chhote Chhote dhabbe kuchh…
Apni nanhi beti ki
Nanhi si drawing book mein
Roz nayi duniyaa main dekhoon…
Friday, May 16, 2008
Ek Hatheli Aadhi Dastak...
Ek hatheli aadhi dastak jism pe mere dekar tum
Onghti shab ki tanhai mein mujh ko roz jagati thhi
Baahon ke dar khulte thhey aur lekar apna chaand badan
Pyaas ke soone kamre mein tum chupke se aa jaati thhi
Khamoshi ke saaye mein hum aawaazon se darte thhe
Jism pe ungli se likh likh kar saari baatein karte thhe
Aahat sun kar door hawa ki tum kaisa ghabrati thhi
Pyaas ke soone kamre mein jab chupke se aa jaati thhi
Aarzuon ke band dareechey milke khola karte thhey
Lub ke taraazu par hum apni saanse tola karte thhey
Aur nazar ke mil jaane par tum kitna sharmaati thhi
Pyaas ke soone kamre mein jab chupke se aa jaati thhi
Raat badalti karwat jab thhi waqt tahar saa jaata thha
Chaand dhamak ke khidki se phir kaandhey par aa jaata thha
Odh ke mujhko chaadar si tum khud bhi to bichh jaati thhi
Pyaas ke soone kamre mein jab chupke se aa jaati thhi
Aaj wohi shab phir se tumko mere badan tak laayee hai
Apni hatheli rok lo ab ke milne mein ruswaai hai
Mere badan par ab har dastak zaaya hone waali hai
Mujhko guzre muddat beeti, ab yeh kamra khaali hai!!!

Tuesday, May 13, 2008
Die and Live
What is life?
Why are we living…?
To live and die eventually?
Or, to die and live on…?
I will prefer to die and live on!!!
Why are we living…?
To live and die eventually?
Or, to die and live on…?
I will prefer to die and live on!!!
Monday, May 5, 2008
Film making is a collective creative process led by a director who is given the right to balance ideas to synchronize the entire thing…
If someone wants to make “my kind of cinema” then he or she should better equip herself or himself with great ideas… they have to have seeds to sow…
One should not expect the harvest of their “kind” with no seed of their own…
If they do harvest from the seeds of others then they are not the creators but the hijackers!!!

Creativity Hijacked

Thursday, April 24, 2008
AAO GINEIN HUM LAMHON KO
Shabnam ke ek katre mein
Sooraj aake baithaa hai…
Aao ginein hum lamhon ko…
Ab yeh sooraj pighlegaa…
Sooraj aake baithaa hai…
Aao ginein hum lamhon ko…
Ab yeh sooraj pighlegaa…
Hum Kal Jo Milenge Barson Baad...
Hum kal jo milenge barson baad
Raah mein yunhi chalte hue
Paas se jub hum guzrenge
Pahchaan ka ik bebaak sa jhonka
Hum ko achanak choo lega
Ik jhatke se hum paltenge
Aur dekhenge ik dooje ko hum hairat se
Phir aagey badh kar bolenge - "TUM!"
Phir dhadkan itni tez chalegi jism hamare larzenge
Hont hamare kaanpenge hum lafzon ko bhi tarsenge
Kuchh der tahar kar, khud pe kuchh kuchh qaaboo paakar
Main shayad yeh poochhunga: “Kaisi ho sab theek to hai?”
“Achchi hoon aur tum kaise ho?” tum itna kah paaogi.
Phir ruk kar thoda, zara jhijhak kar,
Main tumse yeh bolunga
“Itne barson baad miley hain,
Baithein chal kar baat karein kuchh? paas mein ik café hai”
Dekhogi, kuchh sochogi, phir saath mere tum hologi.
Us khaali se café mein, do coffee ka order dekar
Hum dono yeh sochenge, baat kahan se shuru karein
Karne ko yun baatein kitni
Din kitne aur raatein kitni
Aur na jaane kitne mausam
Yaadon ka boseeda album
Ik pal mein khul jaayega!
Hanste gaate kitne chahre,
Rang birangey kitne manzar
Park, bagheechey, hotel, dhaabey,
Parbat, vaadi, jharne, sagar
Jahan jahan se guzre thhey sab hum ko yaad aayenge
Phir bhi hum yeh sochenge, baat kahan se shuru karein!
Phir idhar udhar hum daalenge bemaqsad bekaar nazar
Café ki deewaron par, chhat par aur dareechon par
Kursiyon aur mezon par
Jab tak coffee aayegi!
Phir coffee ki chuski lekar tum nazron se poochhogi:
“Dhoop mein jhulse kab kab bolo,
Kab kab bheegey baarish mein”.
Main piyaali rakh kar table par man hi man mein bolunga:
“Yaad nahin par itna sach hai
Dhoop mein jab jab jhulsa, socha
Achcha hua tum saath nahin thhi
Jab jab bheega baarish mein
Afsos raha tum paas nahin thhi!!”
Phir baat shuru karne ko hum bas itna kah paayenge:
“Yahan ki coffee achchi hai!”
Phir dekhenge ek dooje ke
Gaal ke gadhdhey, baal ki chaandi,
Aankh taley ki gahri siyahi,
Peeley chahre neeli ragein hum!
Phir voh manzar yaad aayega
Jab dil par rakh kar soz ka patthar
Ek din hum tum bichhdey thhey
Dil se tab ek hook uthegi, aankhein phir se dariya hongi
Dard chhupa kar ek dooje se, idhar udhar ki baatein karke
Naye patey lede kar apne, hum rukhsat ho jaayenge!!
Par…ghar jaa kar yeh sochenge…
Yeh patey alag kyon apne hain?
Jab dard-o-aansu, ranj-o-alam,
Jab duniya ka har zulm-o-sitam,
Mushtarka hain?
Jab dil mein armaa, hasrat aur
Aankh mein yaksaan sapney hain
Phir patey alag kyon apne hain?
Yeh patey alag kyon apne hain?
Friday, April 11, 2008
EK KHAMOSH GUZAARISH
Bol ke moti chun chun kar
chup ke lambey dhaage mein
Main to pirotaa jaaungaa
Tum sunnaa chaaho to sun lo
Yaa todke chup kaa dhaagaa tum
Bikher do saare bol mere…
chup ke lambey dhaage mein
Main to pirotaa jaaungaa
Tum sunnaa chaaho to sun lo
Yaa todke chup kaa dhaagaa tum
Bikher do saare bol mere…
Monday, April 7, 2008
Chalo ab hum bichhadte hain…
Chalo ab hum bichhadte hain
Sulagti dhoop mein ghum ki
Bhari aankhon ke saawan mein
Kaho tum alvida mujhko
Khudha hafiz kahun main bhi
Chalo ab hum bichhadte hain…
Safar yeh mukhtasar hoga
Yeh humko bhi khabar thhi
Yeh tum bhi jaanti thhi ke
Koi din ka safar hai yeh
Koi ek mod par ek din
Bichhad jaayenge hum yunhi
Tumhari raah ki zid par
Mere raste khulenge
Yehi voh mod hai jis pe
Bichhadna hai hamein hans ke
Alag raste pe chalna hai
Alag manzil ki jaanib ab
Chalo ab hum bichhadte hain…
Magar jaane se pahle
Aakhri darkhaast hai tumse
Safar lamba hai mujhko dedo
Apni yaad ki poonji
Khanakte bol ke sikkey…
Ke kal jab khaamushi dar pe
Kabhi aake sada dede
To dhar doon uske kaanse mein
Khanakte bol ke sikkey
Tumharey bol ke sikkey
Koi bhi atpata jumla Ke jisme ho
Quran-e-zeest ke aayat ka jaadu
Tum apni pyaari ungli se
Hamari peeth par likhdo
Ke kal jab lafz dab Jaayen
Kitaabon ki imaarat mein
Yehi jumla padhunga main
Tumhara atpata jumla!!
Jaga do lams ke jugnu
Mere saare badan par tum
Voh jugnu jo karein roshan
Tumhari yaad ko har dum
Ke kal jab bhi andhere se guzar hoga
Yehi jugnu to chamkenge
Tumhaare lams ke jugnu!
Bithaa do pyaar ki titli
Alag qismon ki rangon ki
Meri har shaakh pe chun ke
Ke kal jab zindagi berang hogi to
Yehi titli main dekhunga
Tumhare pyaar ki titli!
Baha do aankh ka dariya
Mere kaandhe pe sir rakh ke
Voh dariya jismein hon apne
Bitaaye sab ke sab saawan
Ke kal jab tashnagi meri yeh jism-o-jaan jalayegi
Yehi dariya piyunga main
Tumhari aankh ka dariya!!
Tum apne khushnuma naakhun
Chubho do mere seene par
Jhapat kar is qadar gahre
Ke rahti zindagi tak ek bhali si tees rah jaaye
Chalo ab hum bichhadte hain
Magar jaane se pahle
Aakhri darkhaast hai tumse
Safar lamba hai mujhko dedo
Apni yaad ki poonji
Khanakte bol ke sikkey
Koi bhi atpata jumla
Tum apne lams ke jugnu
Aur apne pyaar ki titli
Aur apni aankh ka dariya
Vohi ek tees laafaani!!!!
Duaa...
Teergi ke hisaar mein hoon main
Roshni tak mujhey pahuchna hai
Roshni woh jo meri manzil hai
Faasla do qadam ka hai ussey
Jis andhere mein main muqayyad hoon
Jaanib-e-roshni jo badhta hoon
Yeh andhera bhi saath chalta hai
Faasla do qadam ka donon ke
Darmiyaan barqaar rahta hai
Khel jaane yeh kab se jaari hai
Zindagi mujh pe kitni bhaari hai
Dil se bas yeh duaa nikalti hai
"Faasla kam agar nahin hota
Teergi ke hisaar ko mere
Aiy khuda is qadar wasee karde
Roshni mujhse door ho jaaye!!!!"
Roshni tak mujhey pahuchna hai
Roshni woh jo meri manzil hai
Faasla do qadam ka hai ussey
Jis andhere mein main muqayyad hoon
Jaanib-e-roshni jo badhta hoon
Yeh andhera bhi saath chalta hai
Faasla do qadam ka donon ke
Darmiyaan barqaar rahta hai
Khel jaane yeh kab se jaari hai
Zindagi mujh pe kitni bhaari hai
Dil se bas yeh duaa nikalti hai
"Faasla kam agar nahin hota
Teergi ke hisaar ko mere
Aiy khuda is qadar wasee karde
Roshni mujhse door ho jaaye!!!!"
Subscribe to:
Posts (Atom)